URDU POETRY
Pages
Tuesday, July 31, 2012
Sunday, July 29, 2012
Woh Ziddi Tha Bohat Magar!
Woh Ziddi Tha Bohat Magar!
Meri Eltijaon Pe Maan Jata Tha!
Meri Har Baat Pe Woh inkaar Karta!
Magar Meri Zidd Pe Woh Haar Jata Tha!
Woh Mujh Ko Hamesha Ajnabi Hi Kehta Tha!
Magar Doston Ki Tarha Hi Rakhta Tha!
Woh Tark-e-talluk Ka khawaan To nahi Tha!
Magar Raabtay Bhi Kam Rakhta Tha!
Meri Hansi Usay Buri Lagti Thi!
Magar Mujhe Woh Rota Bhi nahi Dekh Sakta Tha.
Jis K intezar Main Khud Ko Bhula Diya!
Woh Hamesha Mujhe Pagal kaha karta Tha...

Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga,

Aik Din Aaye Ga Wo Shakhs Humaara Ho Ga.
Tum Jahan Meray Liye Seepiyan Chunti Hogi,
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinaara Hoga,
Zindagi Ab Kay Mera Naam Shamil Na Karna,
Gar Ye Ta'y Hai Kay Yahi Khail Dubaara Ho Ga.
Jis Kay Honay Say Mere Saans Chala Karti Hai,
Kis Tarha Us-Kay Baghair Apna Guzaara Ho Ga.
Ye Achanak Jo Ujala Sa Huwa Jaata Hai,
DiL Nay Chupkay Say Tera Naam Pukaara Ho Ga.
Ishq Karta Hai To Din Raat Usay Sochna Hai,
Aur Kuch Zehan Main Aaya To Khasaara Ho Ga.
Ye Jo Paani Main Chala Aaya Hai Sunehri Sa Garoor,
Us-Nay Dariya Main Kahen Paun Utaara Ho Ga.
Kon Rota Hai Yahan Raat Kay Sannaton Main,
Meray Jaisa Hi Koi Hijr Ka Maara Ho Ga.
Mujh Ko Maloom Hai Jun-Hi Main Qadam Rakhun-Ga,
Zindagi Tera Koi Aur Kinaara Ho Ga.
Jo Mere Rooh Main Badal Say Garajtay Hain,
Us-Nay Seenay Main Koi Dard Utaara Ho Ga.
Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lun-Ga Us-Ko..!
Meray Moula Ka Jun-Hi Ishaara Ho Ga...!~

Aisa Nahi Kay Tujh Say Muhabbat Nahi Humen,

Par Ghum Roz-Roz Sehnay Ki Aadat Nahi Humen.
Har Baar Teray Samnay Sar Ko Jhuka Liya,
0r Phir Bhi Dykh Tujh Say Shikayat Nahi Humen.
Hum Jantay Hain Tu Bhi Hai Tanha Humaray Bin,
Auron Say Poochnay Ki Zaroorat Nahi Humen.
Tu Aitbaar Kar Lay Tujhe Chahtay Hain Hum,
Teray Siwaa Kisi Ki Bhi Chahat Nahi Humen.
Kaisay Rahen-Gay Bin Teray Ab Baat Maan Lay..!
Teray Baghair Rehnay Ki Aadat Nahi Humen…!~

Lab-o-rukhsar ke ivaz ham ne Sitvat-e-khusravi ko bech diya(Sagher Sadiqi)
Azmat-e-zindagi ko bech diya
Ham ne apani khushi ko bech diya
Chashm-e-saqi ke ik ishare pe
Umr ki tishnagi ko bech diya
Rind jam-o-subu pe hansate hain
Shaikh ne bandagi ko bech diya
Rahguzaron pe lut gai radha
Sham ne bansuri ko bech diya
Jagamagate hain vahashaton ke dayar
Aql ne adami ko bech diya
Lab-o-rukhsar ke ivaz ham ne
Sitvat-e-khusravi ko bech diya
Ishq beharupiya hai ai ‘sagar’
Ap ne sadagi ko bech diya
Subscribe to:
Posts (Atom)