Pages

Sunday, July 29, 2012

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,


Apnay hothon par sajaana chahta hoon, 
Aa tujhay main gungunana chahta hoon ! 

Koi aansoo tery daaman par gira gar, 

Boond ko moti banana chahta hoon ! 

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko, 

Ab tujhay main yaad aana chahta hoon ! 

Cha raha hai saari basti mein andhera, 

Roshni ko ghar jalana chahta hoon ! 


Aakhri hichki teray zaano pay aayey, 

Maut bhi main shayraana chahta hoon ! 

Apnay hothon par sajaana chahta hoon, 

Aa tujhay main gungunana chahta hoon ! 

Qateel Shifai

No comments:

Post a Comment