Pages

Sunday, July 29, 2012

Manzal-e-gham ki fazaon se lipt ker ro lon


Rashim Zulfon , neelam ankhon waly achy lagty hain


Woh Ziddi Tha Bohat Magar!

Woh Ziddi Tha Bohat Magar!
Meri Eltijaon Pe Maan Jata Tha!

Meri Har Baat Pe Woh inkaar Karta!
Magar Meri Zidd Pe Woh Haar Jata Tha!

Woh Mujh Ko Hamesha Ajnabi Hi Kehta Tha!
Magar Doston Ki Tarha Hi Rakhta Tha!

Woh Tark-e-talluk Ka khawaan To nahi Tha!
Magar Raabtay Bhi Kam Rakhta Tha!

Meri Hansi Usay Buri Lagti Thi!
Magar Mujhe Woh Rota Bhi nahi Dekh Sakta Tha.

Jis K intezar Main Khud Ko Bhula Diya!
Woh Hamesha Mujhe Pagal kaha karta Tha...

Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga,

Us-Ki Aankhon Main Muhabbat Ka Sitaara Ho Ga,
Aik Din Aaye Ga Wo Shakhs Humaara Ho Ga.

Tum Jahan Meray Liye Seepiyan Chunti Hogi,
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinaara Hoga,

Zindagi Ab Kay Mera Naam Shamil Na Karna,
Gar Ye Ta'y Hai Kay Yahi Khail Dubaara Ho Ga.

Jis Kay Honay Say Mere Saans Chala Karti Hai,
Kis Tarha Us-Kay Baghair Apna Guzaara Ho Ga.

Ye Achanak Jo Ujala Sa Huwa Jaata Hai,
DiL Nay Chupkay Say Tera Naam Pukaara Ho Ga.

Ishq Karta Hai To Din Raat Usay Sochna Hai,
Aur Kuch Zehan Main Aaya To Khasaara Ho Ga.

Ye Jo Paani Main Chala Aaya Hai Sunehri Sa Garoor,
Us-Nay Dariya Main Kahen Paun Utaara Ho Ga.

Kon Rota Hai Yahan Raat Kay Sannaton Main,
Meray Jaisa Hi Koi Hijr Ka Maara Ho Ga.

Mujh Ko Maloom Hai Jun-Hi Main Qadam Rakhun-Ga,
Zindagi Tera Koi Aur Kinaara Ho Ga.

Jo Mere Rooh Main Badal Say Garajtay Hain,
Us-Nay Seenay Main Koi Dard Utaara Ho Ga.

Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lun-Ga Us-Ko..!
Meray Moula Ka Jun-Hi Ishaara Ho Ga...!~

Aisa Nahi Kay Tujh Say Muhabbat Nahi Humen,

Aisa Nahi Kay Tujh Say Muhabbat Nahi Humen,
Par Ghum Roz-Roz Sehnay Ki Aadat Nahi Humen.

Har Baar Teray Samnay Sar Ko Jhuka Liya,
0r Phir Bhi Dykh Tujh Say Shikayat Nahi Humen.

Hum Jantay Hain Tu Bhi Hai Tanha Humaray Bin,
Auron Say Poochnay Ki Zaroorat Nahi Humen.

Tu Aitbaar Kar Lay Tujhe Chahtay Hain Hum,
Teray Siwaa Kisi Ki Bhi Chahat Nahi Humen.

Kaisay Rahen-Gay Bin Teray Ab Baat Maan Lay..!
Teray Baghair Rehnay Ki Aadat Nahi Humen…!~

Lab-o-rukhsar ke ivaz ham ne Sitvat-e-khusravi ko bech diya(Sagher Sadiqi)


Azmat-e-zindagi ko bech diya

Ham ne apani khushi ko bech diya

  

Chashm-e-saqi ke ik ishare pe

Umr ki tishnagi ko bech diya

  

Rind jam-o-subu pe hansate hain

Shaikh ne bandagi ko bech diya

  

Rahguzaron pe lut gai radha

Sham ne bansuri ko bech diya

  

Jagamagate hain vahashaton ke dayar

Aql ne adami ko bech diya

  

Lab-o-rukhsar ke ivaz ham ne

Sitvat-e-khusravi ko bech diya

  

Ishq beharupiya hai ai ‘sagar’

Ap ne sadagi ko bech diya

Ager Wo Jaan Jata Meri Chahat Ki Tapesh Ko


Ager Wo Jaan Jata Meri Chahat Ki Tapesh Ko

Tumare Naam Hain Meri Her gahri Meri Saans 
Main Tum Ho Meri Her Dharkan Main Ho Meri Her

Lafzo Main Tum Ho Mere Khailo Main Tum Ho Mere

Khawbo Main Tum Ho Meri Her Rango Main Tum Ho

Mujhy es Qader Chahta he

ik din shararatan us k kamre mn ja kr,

deewar pe likhe kuch haruf parrhna chahe,,

ja baja hath se bani tasveeron ko samjhna chaha,

kahin sookhe gulab ki pattiyan thin,

kahin takiya aansoun se num tha,

phr kitabon se aisi kitab mere hath lagi,

jis k safha-e-awal pe mera naam tha,

kuch lafaz chape the,mera hath laraz utha,

chehra paseene se tar tha,

meri sada mere kaanon mn goonjne lagi,

"MUJHE KHABAR BHI NAHI

K WOH KHAMOSH SA SHAKSH,

kiyaa hai pyaar jise hamane zindagii kii tarah (Qateel Shifai)


kiyaa hai pyaar jise hamane zindagii kii tarah 
vo aashanaa bhii milaa hamase ajanabii kii tarah 


baDaa ke pyaas merii us ne haath chhoD diyaa 
vo kar rahaa thaa muravvat bhii dillagii kii tarah 


kise Khabar thii baDegii kuchh aur taariikii 
chhupegaa vo kisii badalii mein chaaNdanii kii tarah 


kabhii na sochaa thaa hamane Qateel us ke liye 
karegaa ham pe sitam vo bhii har kisii kii tarah 

Bhool Sakta Hai Bhala Koun Yeh Pyari Aankhain (Qateel Shifai)

Bhool Sakta Hai Bhala Koun Yeh Pyari Aankhain 
Rang Mein Doobi Hui Neend Say Bhari Aankhain 

Meri Her Saans Ne Her Sooch Ne Chaha Nai Tumhain 

Jab Se Dekha Hai Tumhain, Tab Se Saraha Hai Tumhain 
Bas Gahe Hain meri Aankhon Mein Tumhari Aankhain 

Tum Jo Nazron Ko Uthao To Sitare Jhuk Jaye 

Tum Jo Palkon Ko Jhukao To Zamane Ruk Jaye 
Kyun Na Ban Jaye In Aankhon Ke Pujari Aankhain 

Jaagti Raaton Ko Sapnon Ka Khazana Mil Jaye 

Tum Jo Mil Jao Jeene Ka Bahana Mil jaye 
Apni Qismat Pe Kerain Naaz Hamari Aankhain

milkar juda huey tho na soya karenge hum(Qateel Shifai)


milkar juda huey tho na soya karenge hum
ek doosre ke yaad meiN roya karenge hum

aaNsoo chalak chalak ke sathaayenge raath bhar
moti palak palak meiN piroyaa karenge hum

jab dooriyoN ki yaad diloN ko jalaayegi
jismoN ko chaandni meiN bhigoya karenge hum

gar de gaya daga hameN toofan bhi 'qateel'
sahil pe kashtiyoN ko dooboya karenge hum
 

Apnay hothon par sajaana chahta hoon,


Apnay hothon par sajaana chahta hoon, 
Aa tujhay main gungunana chahta hoon ! 

Koi aansoo tery daaman par gira gar, 

Boond ko moti banana chahta hoon ! 

Thak gaya main kartay kartay yaad tujko, 

Ab tujhay main yaad aana chahta hoon ! 

Cha raha hai saari basti mein andhera, 

Roshni ko ghar jalana chahta hoon ! 


Aakhri hichki teray zaano pay aayey, 

Maut bhi main shayraana chahta hoon ! 

Apnay hothon par sajaana chahta hoon, 

Aa tujhay main gungunana chahta hoon ! 

Qateel Shifai

jazb-e-kaamil ko asar apanaa dikhaa denaa thaa


jazb-e-kaamil ko asar apanaa dikhaa denaa thaa 
mere pahaluu me.n u.nhe.n laa ke biThaa denaa thaa 

kuchh to denaa thaa tere taGaaful kaa javaab 
yaa Khudaa ban ke tujhe dil se bhulaa denaa thaa 

tair-e-jaa.N ke sivaa kisako banaate qaasid 
us sitamgar ko paiGaam-e-qazaa denaa thaa 

dard mohataaj-e-davaa ho ye sitam hai yaa rab 
jab diyaa thaa to kuchh is se bhii savaa denaa thaa 

vo jo biga.De to Khafaa tum bhii hue kyo.n Hasrat 
paa-e-nakhuvat pe sar-e-shauq jhukaa denaa thaa 

Saturday, July 28, 2012

chup k chup k rolyna


Kabhi phir milenge to poochhna


Zakham


Umeedain


Nigha Qatil


Ijazat


Ruswaai


Guzarish


Sakoon


Chalo Tum Keh Rahy Ho Toh


Akela Pan


Mera Bachpan


Udaas Sham


Aansu


Yeh zroorat tu nhi

Palat Aao


Tu halqa e yaaran men b mohtat raha ker


koi haath bhi na milayega, jo gale miloge tapak se ye naye mizaj ka shahar hai, zara faaale se mila karo


yun hi besabab na phira karo, koi shaam ghar bhi raha karo
vo Gazal kii sachchii kitaab hai, use chupake chupake paDaa karo

koi haath bhi na milayega, jo gale miloge tapak se 
ye naye mizaj ka shahar hai, zara faaale se mila karo 
...
abhi raah mein kai mor hain, koi aayega koi jaayega
tumhein jisne dil se bhulaa diya use bhulane ki duaa karo

mujhe ishtahaar si lagti hain, ye mohabbaton ki kahaniyaan
jo kahaa nahi vo suna karo, jo suna nahi vo kahaa karo

kabhi husn-e-pardaanashin bhii ho zaraa aashiqana libaas mein
jo main ban-sanvar ke kahin chalun, mere saath tum bhii chalaa karo

ye Khiza ki zard-si shaam mein, jo udaas pe'do ke paas hai
ye tumhare ghar ki bahaar hai, ise aansuon se hara karo

nahn behijaab vo chaand saa ki nazar kaa koi asar nahin
use tani garmi-e-shauq se badi der tak na taka karo

tery doston mein hun k tery dushmanon mein hun!


niraale dastoor

Maqtab-e-Ishq k dastoor niralay dekhay,
Us ko chhutti na mili jis nein sabaq yaad kiya...!

Ajib hain kocha e yaran k sawalat bhi


Kitaboon sy daleel dun ya khud ko samny rakhdun

wo mujsy poch betha hy muhabbt kisko kehty hain....

Uski aankh bher aai


Teri Aankhain


Nishaan


Tera SaAya


aadab e mehfil


ajeb hote hain bare ye adab e mehfil ....
uth kr wo b gaya jis ka koi ghar na tha

Dost


Tum taqluf ko b iklas smjte ho faraz ......
DOST hota nahe hr hath milne wala

Ujrha Chehra

Ujra Chehra Bikhari Zulfain Be’Jaan Ankhain Jaana.!
Mujhe Tu Tum Bhi Kisi Ki Chahat K Maqrooz Lagtay Hoo..!!!!:P

Tumhary Bin


Pagal Larki


Tum hanste the jise raste men gira ker


minat se nhi mana to mannat se man laite hain


Pathar aae berso pehle sheeshe toote berso bad


Kal halki halki barish thi kal yad bhot tum aae ho


Junoo k raste or benishaan manzil


Koi bhot dair tak udas rehta hai


Baarish or Dil ka mosam


Khushi Nahi Hoti


Farq


Dushmani


Anmol


Anaa Parast


Mohabbat


Tujhse Naraz Nahi


kahien-se-tera-sath-le-aaon


Mujhy Manzlon Se Aziz Hain